Monday, 8 October 2012

Raaz 3



 Deewana Kar Raha Hai

teri baahon mein mili aisi rahat si mujhe
ho gayee jaan-e-jahaan teri aadat si mujhe
dekhun main jab tujhko to tab mera din yeh dhale
deewana kar raha hai tera rup sunehra
musalsal khal raha hai mujhko ab yeh sehra
bata ab jaayein toh jaayein kahaan
deewana kar raha hai tera rup sunehra
musalsal khal raha hai mujhko ab yeh sehra
bata ab jaayein toh jaayein kahaan
 
dard ka aalam hai har dum tere bin o mere hum dum
aankhon mein dikhati hai maausiyan
jahaan bhi jaaun tere been badi mushkil se guzre din
chubti hai dil ko teri khamoshiyan
raaz gehra jo hai tera darr hai kaisa tu hai mera aa .. 
(deewana kar raha hai tera rup sunehra
musalsal khal raha hai mujhko ab yeh sehra
bata ab jaayein toh jaayein kahaan) - 2
 
dhul gaye dil ke saare ghum kushi se aankhein hai yeh namm
zindagi mein tu meri jab se aa gaya
dil ka armaan bana hai tu meri pehchaan bana hai tu
saanson mein rooh bann ke tu sama gaya
jaan bhi teri, dil bhi tera tujhse hai mera sawera oo oo ...
(deewana kar raha hai tera rup sunehra
musalsal khal raha hai mujhko ab yeh sehra
bata ab jaayein toh jaayein kahaan) - 2
 
bata ab jaayein toh jaayein kahaan ....


Kya Raaz Hai

(marhaba)- 10
main ru ba ru hoon aasmaan ki aks meri dastaan ki
chaa gaye sabki nigaahon mein
mutthi mein hai saara jahaan yeh maine joh chaaha yahan pe
aa gaya meri panaahon mein
 
(yeh shauhraton ke naach hai yeh daulatien joh aaj hai
sab kuch yahan ik raaz hai haan raaz hain) - 2
 
(marhaba) - 4
 
morey sayiaan sayiaan morey sayiaan
kaahe chodhi mori bayiaan
mori bayiaan more sayiaan
sayiaan sayiaan
kaise modh pe laaya mujhko mera faisla
haath se manzil pairon se chootha hai raasta
meri khataaon ki maine ab paayi hai sazaa
aage ab kya mera hashr ho jaane woh khuda
(marhaba) - 10
 
main ru ba ru hoon aasmaan ki aks meri dastaan ki
chaa gaye sabki nigaahon mein
mutthi mein hai saara jahaan yeh maine joh chaaha yahan pe
aa gaya meri panaahon mein
yeh shauhraton ke naach hai yeh daulatien joh aaj hai
sab kuch yahan ik raaz hai haan raaz hain
khud pe mujhe joh naaz hai yeh joh naya andaaz hai
sab kuch yahan ik raaz hai haan raaz hai
 
yeh raaz hai haan raaz hai 


Oh My Love

you and me together make it all seem right
 
tera saath mil gaya yeh jahaan khil gaya
tujhse vaasta hua har pal hai naya naya
meri raahein tu chaahe tu tu dua
oh my love tu hi hai sukoon
tu hi toh karaar hai mera
oh my love be my love ra ra ra ra
tu hi toh karaar hai mera
oh my love
 
you and me together make it all seem right
khaali khaali din thay khaali khaali raatein khaali thi yeh zindagi
mehki mehki si hoon behki behki si hoon lamhe huye sharbati
mujhko aasra mila mera tu joh ho gaya
poori mannatien huyi mujhko toh khuda mila
meri raahein tu chaahe tu tu dua
oh my love tu hi hai sukoon
tu hi toh karaar hai mera
oh my love be my love ra ra ra ra
tu hi toh karaar hai mera
oh my love
 
ruki ruki si thi thami thami si thi dil mein yeh dhadkane 
oo jagi jagi si hai shaamon sehar ab toh jismon mein khwaaishein
mujhko aasra mila mera tu joh ho gaya
poori mannatien huyi mujhko toh khuda mila
meri raahein tu chaahe tu tu dua
oh my love tu hi hai sukoon
tu hi toh karaar hai mera
oh my love be my love ra ra ra ra
tu hi toh karaar hai mera
oh my love
 
oh my love


Rafta Rafta

rafta rafta ho gayi tu hi meri zindagi
rafta rafta ho gayi chaaron taraf roshini
sajde mein tere sar hai thoda sa dil mein darr hai
kaise karoon main bayaan
jaanu na jaanu na jaanu na
rafta rafta ho gayee..
 
(chaahe dedaar tera nazarein jhukhe bhi
mere kadam chalna chaahe ruke bhi
labh bhi kuch kehna chaahe
lekin gum hai sab baatein
gum sum si bhi hain zubaan) - 2
 
rafta rafta ho gayi tu hi meri zindagi
rafta rafta ho gayi chaaron taraf roshini
sajde main tere sar hai thoda sa dil mein darr hai
kaise karoon main bayaan
jaanu na jaanu na jaanu na
rafta rafta ho gayi
 
(mera wajud ab tu mujh mein hai shaamil
sauhbat mein teri mujhe sab kuch haasil
phir kyun lagta hai aisa
jaise main hoon bekhud sa
dhoondhu main khud ko kahaan) - 2
rafta rafta ho gayi tu hi meri zindagi
rafta rafta ho gayi chaaron taraf roshini
sajde main tere sar hai thoda sa dil mein darr hai
kaise karoon main bayaan
jaanu na jaanu na jaanu na
rafta rafta ho gayi


Khayalon Mein

khayalon mein bhi hai khwaabon mein bhi
koi aane laga hai yaadon mein bhi
aye dil mere mehsoos kar inn aahaton ko
dhadkan ne joh seene mein li unn karwaton ko
aye khuda, aye khuda
main huyi mujhse judaa
khayalon mein bhi hai khwaabon mein bhi
umm koi aane laga hai yaadon mein bhi
 
din mein bhi wahi saans lene laga
raaton mein bhi meri wohi toh bassa hai
palkon peh rehne ki dhundta hai jagah
khayalon mein bhi hai khwaabon mein bhi
umm koi aane laga hai yaadon mein bhi
 
dil jisse mera pyaar karne laga
aankhein bhi uski hi raahon main ruki hai
kaun hai woh magar yeh nahi hai pata
khayalon mein bhi umm hai khwaabon mein bhi
ho koi aane laga hai yaadon mein bhi
aye dil mere mehsoos kar inn aahaton ko
dhadkan ne joh seene mein li unn karwaton ko
aye khuda aye khuda main huyi mujhse judaa
oo oo oo


Zindagi Se

zindagi se chura ke zindagi mein basa ke zindgaani banaya hai tujhe
roothe rab ko mana ke aasmaan ko jhuka ke zindgaani banaya hai tujhe
tu mila jis tarah saba mile tu mila jis tarah sila mile
tu mila jis tarah duaa mile bakhuda ...
tu mila toh jaise main jee gaya
tu mila mukammal main ho gaya
tu mila toh phaila hai nur sa bakhuda
zindagi se chura ke zindagi mein basa ke zindgaani banaya hai tujhe
 
mehfoos tu mehsoos kar tere paas hoon main sada
tujhse nahi ho sakta main pal bhar bhi ab judaa
ab saath hain hum iss tarah aankhon ke sang palkein
aa waqt ko yeh baat hum ek baar phir se kehde
saare ghum se chupaake har nazar se bacha ke
zindgaani banaya hai tujhe
tu mila jis tarah sabah mile
tu mila jis tarah silah mile
tu mila jis tarah dua mile bakhuda ...
tu mila toh jaise main jee gaya
tu mila mukamaal main ho gaya
tu mila toh phaila hai nur sa bakhuda
 
baahon main aa ho jaayenge shikve sabhi khud fanaa
honthon se main tujhko sunu aankhon se tu kuch suna
tu aks hai main aayina phir kya hai sochna
ek doosre mein kho ke hai ek doosre ko paana
kismaton ko jaga ke har jahaan ko hara ake
zindgaani banaya hai tujhe
(tu mila jis tarah sabah mile
tu mila jis tarah silah mile
tu mila jis tarah dua mile bakhuda ...) - 2






No comments:

Post a Comment