Saturday, 6 October 2012

Ek Tha Tiger


Mashallah

mashallah mashallah mashallah mashallah
chehra hai mashallah naino pe naino ka pehra hai mashallah 
tujhko ko churaaya hai paaya hai yeh jahaan
 
mashallah mashallah chehra hai mashallah
rang tere ishq ka ghehra hai mashallah
tujhko ko churaaya hai paaya hai yeh jahaan
 
ooh habibi mashallah antashakala ajimullah
ooh habibi mashallah yashok aani miliaai hai
ooh habibi mashallah roofzabargat ganini
badmanini badmanini badmanini taaliho
 
jalta hai jal jaaye - 2 pighal jaaye zamana
main tujhse tu mujhse bas itna fasaana
teri yariyaan dildaariyan samjhaaniyan
mili mila mujhe milana
mashallah mashallah - 2 chehra hai mashallah
naino pe naino ka pehra hai mashallah
tujhko ko churaaya hai paaya hai yeh jahaan
mashallah mashallah
 
sholon mein sharara hai - 2 taaron mein sitara 
kudrat ne fursat se banaya mera yaara
teri chahatein meri raahatein hai ibaadatein
tu mila mili mujhe khudaayi
mashallah mashallah -  2 chehra hai mashallah
naino pe naino ka pehra hai mashallah
tujhko ko churaaya hai paaya hai yeh jahaan
ooh habibi mashallah antashakala ajimullah
ooh habibi mashallah yashok aani miliaai hai
ooh habibi mashallah roofzabargat ganini
badmanini badmanini badmanini taaliho



Laapata

aankhon ko yun bandh karke dhime dhime gin-gin ke
dhoondo hume hum hain kahaan
ho bhule se fasaane hai zameen se begaane hai
dekho huye hum toh hawa
dil ke kinaare khwaabon ke niche 
hai khoya khoya apna jahaan
main laapata bhoola pataa  hosh-o-hawa hai laapata
 
haan yeh zidd hai meri tujhko hi sochenge ab hum
roshini yeh teri khwaabon mein rakhenge bandh hum
haan subah kab soyee taare kab jaage
hum bhule hai ke kab kya hua 
main laapata bhoola pataa hosh-o-hawa hai laapata
 
le rahe thay saansein zinda nahi thay kabhi hum
dil yeh tujhko deke dhadkan se waakif huye hum
haan tujh mein hi ghum hai tujh mein hi khoye
ab waise bhi jaana kahaan 
main laapata bhoola pataa hosh-o-hawa hai laapata


Banjaara

banjaara banjaara  - 2
dil mera banjaara banjaara banjaara 
dekha jabse usko dil mera dil mera banjaara
na jaaga na soya dil mera dil mera banjaara
jo muskuraaye woh sab kuch bhulaye woh
dekho bhatak ke aare dil bechara
banjaara banjaara uski dhun mein dil banjaara banjaara banjaara
banjaara hey banjaara hey 
uski dhun mein dil banjaara banjaara banjaara

lehra ke dil se guzarti hai woh - 2
jaane kya geet peet karti hai woh
hoo hans de toh ude dil main hai titliyaan
bemausam ki dekh hum pe hai bijleeyaan
uss pe yeh dil aa aa ke haara
banjaara banjaara
uski dhoon mein dil banjaara
banjaara hey banjaara hey
uski dhoon mein dil banjaara banjaara banjaara

baaton mein uski jaadugari gari gari
hoo baaton mein uski jaadugari
nighaaon mein uski kaarigari
ho seinkdon khwaab uspe hai kharcha kiye
phir bhi milne ko har roz tarsa kiye
keh do toh chodh doon main yeh jag saara
banjaara banjaara
uski dhoon mein dil banjaara
banjaara hey banjaara hey
uski dhoon mein dil banjaara banjaara banjaara


Saiyaara

aasmaan tera mera hua khwaab ki tarah dhuaan dhuaan
aasmaan tera mera hua saans ki tarah ruaan ruaan
ho jaaye jahaan tu jaaye paaye mujhe hi paaye
saaye yeh mere hai tujh mein samaaye
(saiyaara main saiyaara saiyaara tu saiyaara
sitaaron ke jahaan mein milenge ab yaara) - 2
 
tu jo mila toh yun hua ho gayee puri aduori si dua
tu jo gaya toh le gaya sang tere mere jeene ki har wajah
ho jaaye jahaan tu jaaye paaye mujhe hi paaye
saaye yeh mere hai tujh mein samaaye
(saiyaara main saiyaara saiyara tu saiyara
sitaaron ke jahaan main milenge ab yaara)  - 2
 
tum pe miti tum se bani tumse hua hai haan khud pe yakeen
tu jo nahi toh na sahi main hoon yahaan toh tu hai yahin kahin
ho jaaye jahan tu jaaye paaye mujhe hi paaye
saaye yeh mere hai tujh main samaaye
(saiyaara main saiyaara saiyara tu saiyara
sitaaron ke jahaan mein milenge ab yaara) - 1


No comments:

Post a Comment